Iss Kitab Ko Padhkar Iss Desh kay AAM AADMI kay Sangharsh ka Pura Safar Aankhon kay Saamney aa gaya.Ek Prem Kahani ko Pichley 3 saal Kay Saamaajik aur Rajneetik aandolan ki Prishtbhoomi mein badi khoobsurti sey Piroya Gaya hai .Yeh Kitab Desh ki yuva Peedhi ke mun mein Chal rahey badlaav ki baichaineeyon kay Safar ko Bayaan Karti Hai - Arvind Kejriwal
Ye Kahani Jai Jeevit aur Raanu ki mohabbat ki aur utni hee ye kahani hai aaj ke parivesh ki .Ye aaeena hai badalti Dilli ka – jo gavah hai ek nayi Soch,ek nayi oorjaa aur ek nayi Raajneeti kay uday ka.
Ye AAP ki bhi kahani hai – Dilli kay Gali koochon se hota iska asar desh ki soch,jantantra se logon ki apekshaaon aur purane dharrey par chal rahi Rajneeti aur Rajneytaon ko mil rahi chunoti ka bhi safar tai karti hai. Yeh upannyas rajneetik halchalon ki sirf bahari daastaan bhar nahi hai,bulkee yeh aandolan ki androoni gatividhiyon se ru-ba-ru hone ka moka bhi deta hai.
Jeevit aur raanu jaise jaise apne rishte mein aagey badhte hain waisey-waisey vey krantikaari budlaav kay saakshi aur sehyaatri bhi buntey hain – Anna,Anshan,Arvind se hoti hui “AAP” ki iss yatra par aaeye nikal paden.
Note: This book is in the Hindi language and has been made available for the Kindle, Kindle Fire HD, Kindle Paperwhite, iPhone and iPad, and for iOS, Windows Phone and Android devices.